Jo mujh se poocha hai aaj tum ne
Keh main tumhara hoon kiya , batayo
To khud hi socho
Tum ik pal ko
Bhala main kaisay tumhain bataon
Hai tum se mera wohi taaluq
Jo apnay saye se hai shajar ka
Wohi jo khursheed se qamar ka
Gulon se jo hota hai mehak ka
Kisi kay aankhon kay mast dooron se
Us kay mehboob ki jhalak ka
Main hoon badan to , tum us ki jaan ho
Bahaar mousam kay tarjumaan ho
Lahoo ki surat meri ragon main
Her ik lehjay rawaan dawaan ho
Nimaaz hoon main , to tum azaan ho
MAkeen hon main , to tum makaan ho
Zameen hoon main , tum asmaan ho
Wohi taaluq hai tum se mera
Jo dil se hota hai dharkano ka
Khumaar se jo hai meh'kashon ka
Jo shayeron se hai meh'washon ka
Jo husan walon se hai dil'jalon ka
HAi zahid se bhi jo zahidon ka
Jo raaston se hai manzalon ka
Jo manzalon se hai reh'baron ka
Azal se dharti se parbaton ka
Wohi jo sagar se saahilon ka
Jo rooh se hai kisi badan ka
Wohi jo chanda se hai kiran ka
Jo baag;baan se kisi chaman ka
HAi gutagoo se kisi dehan ka
Jo baarishon se zameen ka hai
Ibaadaton ka jabeen se hai
Wohi taaluq
Azal se apnay bhi darmiyaan hai
Tum hi baharon ki dil'kashi ho
Tum hi to aankhon ki roshni ho
Jo sach kahoon , tum meri khushi ho
Tum hi ujala , tumhi sabaa ho
Tum arzoo ho , tum hi wafa ho
Tum jazbon ki intihaa ho
To kiyon na tum par yeh dil fida ho
Batao jana! hai itna kaafi ?
Keh aur kuch bhi tumhain bataaon
Jo ho sake to khyal rakhna
Tumhara mujh se wohi hai rishta
Mla'eka se jo bandagi ka
Jo marnay wale se zindagi ka
Samandaron ka jo seep se hai
Wohi jo aankhon ka deep se hai
Fakhira Batool
No comments:
Post a Comment