Aaj kisi ne baaton baaton main jab us ka naam liya
Dil ne jaisay thokar khai dard ne barh ke thaam liya
Ghar se daaman jhaar ke niklay wehshat ka samaan na pooch
Yahni gard-s-raah se hum ne rikhat-e-safar ka kaam liya
Dewaaron ke saaye saaye umar beetayi dewaanay
Mufat main tan asaani gham ka apnay sar ilzaam liya
Raah-e-talab main chaltay chaltay thak ke jab hum choor huye
Zulf ki thandi chaaon main baithay do pal araam liya
Hont jalain ya seena sulgay koi taras kab khaata hai
Jaam sui ka kisi ne "taabaan" jurrat se kuch kaam liya
No comments:
Post a Comment