Jul 26, 2014

Aaj mujh pe inayat kar do na




Ek khwaish sirhanay rakh do na 
Aaj mujh pe inayat kar do na 

Zara chupkay se khamoshi se 
Tum izhaar-e-mohabbat kar do na 

Khud ko kar kay dewana sa 
Mera pyaar amar tum kar do na 

Main pyaas main dooba sehra hoon 
Tum mujh ko samandar kar do na 

Main youn hi phirta hoon dar ba'dar
Tum khud ko manzil kar do na 




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...