Jul 7, 2014

Aaj sarma ki pehli baarish hai


Aaj sarma ki pehli baarish hai 
Her soo andhera chaya hai 
Meri amwaas zindagi ki tarah 
Raastay sunsaan aur soonay hain 
Mere khali ghar ki tarah 
Baadal bhi khul ke barsaa hai 
Meri bheegi aankhon ki tarah 
Hawa kitni yak'basta hai 
Honton pe anay wali
Sard aahon ki tarah 
Dil main reh janay wali 
Kuch duaon ki tarah 
Es ajeeb mousam main 
Ajab hai dil ka haal meray 
Yaad tumhari aati hai 
Jaisay sarma ki pehli baarish 
Saath main sardi laati hai 
Kuch waisay hi teri yaad ke juloo main 
Ik gehra snaata aya hai 
Ab dil ke baraf zaron main 
Her aahat , Madoom hui hai 
Her umeed , madoom hui hai 
Ab teri yaad ki shiddat main 
Ab teray hijar ki hiddat main 
Hum chup chaap pighaltay hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...