Aankhon main raha dil main utar kar nahin dekha
Kashti kay musafir ne samandar nahin dekha
Be'waqat agar jaaon ga to sab chonk parain gay
Ek umar hui din main kabhi ghar nahin dekha
Jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai
Aankhon ne kabhi meel ka pathar nahin dekha
Yeh phool mujhay koi warast main mile hain
Tu ne mera kaanton bhara bistar nahin dekha
Mehboob ka ghar ho ya buzurgob ki zameen
Jo chor diya phir ussay murr kar nahin dekha
Khat aisa likha hai keh nageenay se jarray hon
In haathon ni lakin koi zewar nahin dekha
Pathar mujhay kehta hai mera chahnay wala
MAin mom hoon us ne mujhay choo kar nahin dekha
Woh meray masail ko samjh hi nahin saka
Jis ne meri aankhon main samandar nahin dekha
No comments:
Post a Comment