Jul 5, 2014

Aankhon se nikle mere chand ansoo


Aankhon se nikle
Mere chand ansoo
Palkon ke aanchal ko choo kar
JAb gulaabon ko tar kartay hain 
Tu in ki garmahat 
Kuch dair ko to 
Mujhe ko teri yaad dila jaati hai 
Doori ke andheron main 
Yaadon ka ek deep jala jaati hai 
Her qatray main tera aks youn jhalakta hai 
Jissay shabnam ka paani pattiyon pe chamakta hai 
Raat kitni hi gehri kiyon na ho jaye 
Falak pe roz ik tara zaroor nikalta hai 
Magar kon jane 
Teri yaad main behtay 
Yeh ansoo
Mehaz paani ki chand boondain hain 
Teri furqat
Teri judai main beetay 
Her pal her lamhay 
Her dard her sapne 
Ki woh tasveerain hain 
Jo meri tanhaiyon ko youn ayan karti hain 
Jaisay sehra ki tapti rait par 
Baarish ki boondain khud ko jazab karti hain 
Kon jane aakaash kiyon rota hai 
Kon jane pyaar kiyon hota hai 
Kiyon nafraton ke beej botay hain 
Kiyon kushiyon ka shaher sota hai 
Haan itna zaroor hota hai 
Jafa ke daagh dhul jate hain 
Ana ke phool khil jate hain 
Ajnabi raaston pe chalty chalty 
Kabhi apne bhi mil jate hain 
Wafa ka bahana toot jaye to 
Yahi apne rooth jaate hain 
Zabat ki kashti doob jaye to 
Taiz bahayo main beh jatae hain 
Kiyon itni door chale jaate hain 
Keh wapsi ke sab raastay mit jaatay hain 
Magar kis ko pata hai 
Kis ko khabar hai 
Keh teri yaad main behtay 
Yeh chand ansoo
Aaj bhi apni tapish 
Apna naqsh chor jate hain 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...