Jul 28, 2014

Ab bhala chor kay ghar kiya kartay


Ab bhala chor kay ghar kiya kartay 
Shaam kay waqat safar kiya kartay 

Teri masrofatein jaantay hain 
Apnay anay ki khabar kiya kartay 

Jab sitaray hi nahin mil paye 
Lay kay hum shams-o-qamar kiya kartay 

Woh musafir hi khuli dhoop ka tha 
Saaye phailaa kay shajar kiya kartay 

Khaak hi awal-o-aakhir tehri 
Kar kay zaray ko gehar kiya kartay 

Raa'e pehlay se bana li tu  ne 
Dil main ab hum teray ghar kiya kartay 

Ishq ne saray saleeqay bakshay 
Hussan se kasab-e-hunar kiya kartay 

Parveen Shakir 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...