Jul 15, 2014

Ab karb ke toofan se guzarna hi paray ga


Ab karb ke toofan se guzarna hi paray ga 
Suraj ko samandar main utarna hi paray ga 

Fitrat ke taqazay kabhi badlay nahin jaatay 
Kushboo hai agar woh to bikharna hi paray ga

Parti hai to par jaye shikan us ki jabeen par
Sachai ka izhaar to karna hi paray ga 

Her shakhs ko ayein gay nazar rang sehar ke 
Khurasheed ki kirno ko bikharna hi paray ga 

MAin soch raha hoon yeh sar-e-shaher nigaaran 
Yeh us ki gali hai to tehrna hi paray ga 

Ab shaana-e-tadbeer hai haathon main hamaray 
Haalaat ki zulfon ko sanwarna hi paray ga 

Ik umar se be'noor hai yeh mehfil-e-hasti 
Ejaaz koi rang to bharna hi paray ga 

Poet ; Ejaaz Rehmaani

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...