Jul 13, 2014

Ae mere dost khwabon ka dais banana zaroor


Ae mere dost
Khwaabon ka dais 
Banana zaroor
Magar haqeeqat ka saath 
Nibhana zaroor
Kal kay liye
Apna aaj barbaad na karna 
Kisi ka dil tor kar 
Ghar abaad na karna 

Ae mere dost
Laakh badlay zamana 
Tum kabhi na badalna 
Aaj to main tumharay saath hoon 
Mujhe tum kal bhi yaad rakhna 
Apni yaad main kahin 
Mera bhi makaan rakhna 
Apnay ehad efaa karna
Apnay paimaan yaad rakhna

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...