Jul 11, 2014

Tum rooth jao mujh se aisa kabhi na karna



Aisa kabhi na karna 

Tum rooth jao mujh se aisa kabhi na karna 
Main ik nazar ko tarson aisa kabhi na karna 

Main pooch pooch haron so so sawal kar kay 
Tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna 

Mujh se hi mil kay hansna mujh se hi mil kay rona 
Mujh se bichar kay jee lo aisa kabhi na karna 

Tum chand ban kay rehna main dekhta rahon ga 
Kisi roz tum na niklo aisa kabhi na karna 

Tum chalay jao jab bhi dekhon tumhara rasta 
Tum loat kay na ayo aisa kabhi na karna

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...