Jul 17, 2014

Aur kiya reh gaya hai hone ko


Aur kiya reh gaya hai hone ko 
Aik ansoo nahin hai ronay ko 

Khwaab achay rahaingay un'dekhay
Khaak achi rahaye gi sone ko 

Yeh maah-o-saal chand baaqi hain 
Aur kuch bhi nahin hai khonay ko 

Na'risaai ka ranj laye hain 
Teray dil main kahin samonay ko 

Chashm-e-nam , chaar askh aur idher 
Daagh ik reh gaya hai dhone ko 

Baithnay ko jaga nahin milti 
Kiya karain orhnay bichonay ko

Tu kahin baith aur hukam chala 
Hum to hain bas tera bojh dhonay ko 

Yaad bhi teri mit gayi dil se
Aur kiya reh gaya hai honay ko

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...