Jul 18, 2014

Awargi main hum ne is ko bhi hunar jana


Awargi main hum ne is ko bhi hunar jana
Iqraar-e-wafa karna , phir us se mukar jana

Jab khwaab nahin koi , kiya zindagi ka karna 
Her subha ko jee uthna , her raat ko mar jana

Aisa na ho dariya main , tum baar-e-giraan tehro
Jab log ziada hoon kashti se to tum utar jana

Sukraat kay peenay se kiya mujh pe ayaan  hota 
Khud zehar piya main ne tab us ka asar jana

JAb bhi nazar aao gi hum tum ko pukaarain gay 
Chayo to tehro jana , chayo to guzar jana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...