Azaar meray dil ka dil azaar na ho jaye
Jo karb nihaan hai woh namu'daar na ho ajye
Awaaz bhi deti hai keh uth jaag meray laal
Darti bhi hai keh bacha kahin bai'daar na ho jaye
JAb tak main ponchta hoon kari dhoop main chal kar
Dewaar ka saya pas-e-dewaar na ho jaye
Parda na sirk jaye kahin ae dil-e-be'taab
Woh parda nasheen aur pur'israar na ho jaye
Barhta chala jaata hai zamanay main taaluq
YEh silsala-e-zangeer garaan baar na ho jaye
Araam se rehta hi nahin banda be'daam
JAb tak kisi mushkil main griftaar na ho jaye
Poet : Anjum Khyali
No comments:
Post a Comment