Baar haa tujh se kaha tha mujhay apna na bana
Ab mujhay chor kay duniya main tamasha na bana
Na dikha paye ga tu khwaab meri aankhon kay
Ab bhi kehta hoon musawar mera chehra n abana
Ik yahi gham meray marnay kay liye kaafi hai
Jaisa tu chahta tha mujh ko main waisa na bana
Aik baat aur pattay kay main bataon tujh ko
Aakhrat banti chali jaye gi , duniya na bana
Yeh khuda ban ay riyaat nahin kartay hain "Wasi"
Hussan walon ko kabhi qibla-o-kaaba na bana
Poet : Wasi Shah
No comments:
Post a Comment