Jul 22, 2014

Bachpan ka zamana hota tha


Bachpan ka zamana hota tha 
Khushiyon ka khazana hota tha 

Chahat chaand ko paanay ki 
Dil titli ka dewaana hota tha 

Khabar na thi kuch subha ki 
Na shaamon ka thikaana tha 

Thak haar kay aana sachool se 
Par khailnay bhi jana hota tha 

Daadi ki kahani hoti thi 
Pariyon ka fasana hota tha 

Baarish main kaaghaz ki kashti thi 
Her mousam sohana hota tha 

Her khail main saathi hotay thay 
Her rishta nibhana hota tha 

Paapa ki woh daant ghalti par 
Mom ka manana hota tha 

Gham ki zubaan nahoti thi 
Na zakhmon ka paimana hota tha 

Ronay ki wajah na hoti thi 
Na hansanay ka bahana hota tha 

Ab na rahi woh zindagi jaisay 
Bachpan ka zamana hota tha 
 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...