Jul 25, 2014

Bandh lain haath pe seenay pe saja lain tum ko


Bandh lain haath pe seenay pe saja lain tum ko 
Jee main ata hai taveez bana lain tum ko 

Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta dekhain 
Kiyon na aangan main chambaili sa laga lain tum ko 

Kiya ajab khwaishein uth'ti hain hamaray dil main 
Kar kay munna sa hawaon main uchalain tum ko 

Kabhi khwabon ki tarah aankh kay parday main raho 
Akbhi khwaish ki tarah dil main bula lain tum ko 

Is qadar toot kay tum pe hamain hamain pyaar ata hai 
Apni baanhon main bharain maar hi daalain tum ko 

Poet : Wasi Shah

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...