Bheer main ik ajnabi ka samna acha laga
Sab se chup kar woh kisi ka dekhna acha laga
Surmai aankhon ke neechay phool se khilney lage
Kehtay kehtay kuch kisi ka sochna acha laga
Baat to kuch bhi nahin thi lakin us k aik dam
Hath ko honton pe rakh ke rokna acha laga
Chaiy main cheeni milaana us gharri bhaya bhout
Zer-e-lab woh muskurata "shukriya" acha laga
Dil main kitney ehad baandhay thay bhulaney ke ussay
Woh mila to sab iraday torna acha laga
Be'irada lams ki woh sansain piyare
Lagi kam tawaja aankh ka woh dekhna acha laga
Neem shab ki khamshee main bheegti sarkon pe kal
Teri yaadon ke jalwe main ghoomna acha laga
Us adu-e-jaan ko amjad main bura kaisay kahoon
Jab bhi aya samne woh be'wafa acha laga
No comments:
Post a Comment