Bhout barf'baab mousam hai
Hawaein barf rut ki shaal orhay
Band kamray main panahein dhoondti hain
Yeh kamra
Jis main heetar jal raha hai
Badan saray ka sara baraf ki sil ban gaya hai
Badan ki hiddatein ab ik
Ghubaar alood khwaish ki tarah gum ho rahi hain
Magar is munjamid shab main
Jahan yeh zehan sunn ho
Aur porain be'his-o-harkat
Wahan par saans lenay aur lahoo ko garam rakhnay ki yahi surat nazar ayi
Keh tum se phone pe baatein karon
Baaton hi baaton main
Tumharay araz-o-rukhsaar-o-lab aur baraf pighlaati hui
Aankhon ko chu loon aur tumhain keh doon
Zara tum phone par honton ko rakh do ...main bhi rakhta hoon
Tum apni garam saanson se meri saanson ko piglaao
Tasawur main mujhay choo loo
Meray dil main utar aao
Main tanhai kay jis mousam ki yakh-basta ruton main mubtala hoon
Is gharri in ko
Tumharay aaraz-o-rukhsaar ki hiddat hi pighlaye to pighlaye
Wagarna phir Khuda Hafiz
Noshi Gilani
No comments:
Post a Comment