Jul 8, 2014

Bichartay waqat in aankhon ka bhar jana zaroori tha


Bichartay waqat in aankhon ka bhar jana zaroori tha 
Tumharay bin mera chup chaap mar jana zaroori tha 

Main hans ke jhail leta dil pe saary waar qismat ke
Mujhe ba'khabar kar detay agar jana zaroori tha 

Meri aankhon main apnay aks ko tum dekh na paaye
So mera be'niazi se guzar jana zaroori tha 

Qabal is ke dono bad'gumaani main ulajh jaatay 
Meray ham dam mera tujh se bichar jana zaroori tha 

Main jeevan ke safar main hans ke sab kuch seh gaya lakin 
Jo tum bichray to phir, mera bikhar jana zaroori tha 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...