Jul 2, 2014

Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunaata raha dam nikalty nikalty


Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunaata raha dam nikalty nikalty 

Magar zikar-e-shaam-e-alam jab keh aya Chraagh-e-sehar bujh gaya jaltay jaltay

Unhain khaton main likha dil muztarib hai jawaab un ka aya mohabbat na kartay

Tumhain dil laganey ko kis ne kaha tha Behal jaye ga dil behaltay behaltay 

Aray koi wada khilaafi ki had hai hisaab apney dil main laga kar to dekho 

Qayamat ka din aa gaya rafta rafta mulaaqat ka din badaltay badaltay

Woh mehmaan hamaray rahe bhi to kab tak hui shamma gul aur na doobe sitaray 

Qamar is qadar un ko jaldi thi ghar ki woh ghar chal diye chandani dhaltay dhaltay 

Poet : Qamar jalalvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...