Chragh-e-tor jalao , bara andhera hai
Zara naqaab uthao , bara andhera hai
Woh jin ke hote hain khorasheed asteenoo main
Unhain kahin se bulaao, bara andhera hai
Mujhe khud apni nigahon pe Aaitabaar nahin
Mere qareeb na aao , bara andhera hai
Faraz-e-arsh se toota hai koi tara
Kahin se dhoond ke laao, bara andhera hai
Abhi to subha ke maathay ka rang kaala hai
Abhi faraib na khaao,bara andhera hai
Jissay zubaan-e-khuro main sahraab kehtay hain
Wo roshni si pilaao ,bara andhera hai
Ben'naam zohra jabeenan-e-khitah-e-firdos
Kisi kiran ko jagaoo bara andhera hai
Poet : Sagar Sadiqui
No comments:
Post a Comment