Jul 25, 2014

Dil kay dariya ko kisi roz utar jaana hai


Dil kay dariya ko kisi roz utar jaana hai 
Itna be'simat na chal , loat kay ghar jana hai 

Us tak aati hai to her cheez tehar jaati hai 
Jissay pana hai ussay , asal main mar jana hai 

Youn ae shaam-e-safar , rang-e-rihaai kiya hai ?
Dil ko rukhna hai keh taaron ko tehar jana hai 

Kon ubhartay huye mehtaab ka rastaa rokay 
Us ko her tor suay-e-dasht-e-sehar jana hai 

Main khila hoon to isi khaak main milna hai mujhay 
Woh to khushboo hai , ussay aglay nagar jana hai 

Woh teray husan ka jaado ho keh mera gham-e-dil 
Her musafir ko kisi ghaat utar jana hai 

Poet : Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...