Jul 5, 2014

Dil ne wafa ke naam par kaar-e-jafa nahin kiya


Dil ne wafa ke naam par kaar-e-jafa nahin kiya 
Khud ko halaak kar liya khud ko fidaa nahin kiya 

KAise kahain keh tujh ko bhi hum se hain waasta koi
Tu ne to hamesha aaj tak koi gila nahin kiya 

Tu bhi kisi ke baab main ehad-e-shikan ho ghaliban 
Main ne bhi ek shakhs ka qarz ada nahin kiya 

Jo bhi ho tum pe mantariz us ko yahi jawaab do 
Aap bhout shareef hain aap ne kiya nahin kiya 

Jis ko bhi sheikh-o-shah ne Hukam-e-khuda diya qaraar 
Hum ne nahin kiya woh kaam haan ba,khuda nahin kiya 

Nisbat-e-ilm hai bhout hakeem-e-waqt ko aziz
Us ne to kaar-e-jehl bhi be'ulaama nahin kiya  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...