Faslay aisay bhi hon gay , yeh kabhi socha na tha
Samnay baitha tha meray aur woh mera na tha
Khud chraha rakhay thay tan par ajnabiyat kay ghilaaf
Warna kab aik doosray ko hum ne pehchana na tha
Raat bhar pichli si aahat kaan main aati rahi
Jhaank kar dekha gali main , koi bhi phirta na tha
Yeh sabhi veeraniyan us kay juda honay se thein
Aankh dhund'lai hui thi , shaher dhund'laya na tha
Saikroon toofan lafzon kay dbay thay zer-e-lab
Aik pathar tha khamoshi ka keh jo hilta na tha
Yaad kar kay aur bhi takleef hoti thi "Adeem"
Ab siwaye bhool jaanay kay chara na tha
No comments:
Post a Comment