Gul tera rang chura laye hain gulzaaron main
Jal raha hoon bhari barsaat ki bocharon main
Mujh se katra ke nikal jaa magar ae jaan-e-haya
Dil ki lo dekh raha hoon teray rukhsaaron main
Husan-e-be'gaana ehsaas-e-jamaal acha hai
Gunchay khiltay hain to bik jaate hain bazaron main
Zikar kartay hain tera mujh se be'unwaan-e-jafa
Chara gar phool pro laye hain talwaaron main
Zakham chup saktay hain lakin mujhe fun ki so'gand
Gham ki doulat bhi hai shamil meray shahkaaron main
Mujh ko nafrat se nahin pyaar se masloob karo
Main to shamil hoon , mohabbat ke gunnah'gaaron main
Poet : Ahmed Nadeen Qasmi
No comments:
Post a Comment