Hairat
Bhout din ho gaye jaana
Koi mehfil ho ya phir umar ki tanha hawaili ho
Mera yeh dil tumhari yaad main be'haal sa ho kar
Kabhi bikhra nahin hai
Tumhari zaat ke be'simat raston se
Juda hone kay ik barbaad khadshay se
Kabhi sehmaa nahin hai
Meray aangan main bhi kab se
Woh neela sa parinda chonk kay roya nahin hai
Tasawar ke shajar ki naran chaaon main
Badan ka qafala-e-shouq bhi ab to
Tumharay lams ki cho'paal main pal bhar
Kabhi tehra nahin hai
Meri chunri pe phaila wasal ka yeh rang
Pehlay sa roo, pehla to nahin janaa
Magar pheeka nahin hai
Tumhari aan bhout kam bolti aankhon ka saya
Jo meri halki gulaabi shaam par chaya hua mehsoos hota hai
Magar hota nahin hai
No comments:
Post a Comment