Jul 1, 2014

Hawa se baat karney do


Hawa se baat karney do 
Hamain us se gila hai jo 

Ussay bhi to batana hai 
Kabhi aa kar kaiwaron ko bajati hai 
Hamain sote huwey aksar jagati hai 
KAbhi pardes se sandesa laati hai, keh koi aney wala hai 
MAgar ata nahin koi 
Yeh palkon pe laraztay sab chiraagon ko bhujati hai
Kabhi yeh bansuri ke sur jagati hai 
KAbhi yeh dharkan ki taal main rach bas si jaati hai
Purane kushk paton ko girati hai
Parindon ko urrati hai , unhain be'ghar banati hai
Hawa se baat karney do
Samandar ke yeh seenay par 
Utar ke kashtiyaan dekho chalati hai
Yeh chaaron aur kaisay ati jati hai 
Yeh kaisay saahilon ki rait ko dheeray se choo kar 
Nit naye chaheray banati hai 
Phir un ko khud mita'ti hai
Yeh kaisay badalon ko par bina urna sikhati hai
Phir un se le ke boondain 
Aa ke dharti ko sajati hai
Nafas ke taar main kaisay utar k muskuraati hai
Yeh kaisay gun'gunaati hai
Yeh kaisay chalti hai aur kis tarah se tham si jati hai
Hawa se baat karney do

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...