Her tamashai faqat saahil se manzar dekhta
Kon dariya ko ulat'ta , kon gohar dekhta
Woh to duniya ko meri deewangi khush aa gayi
Teray haathon main wagarna pehla pathar dekhta
Aankhon main aansoo jaray tahy , par sada tujh ko na di
Is tawaqo pe keh shayed , tu palat kar dekhta
Meri qismat ki lakeerain , meray haathon main na thein
Teray maatay pe koi mera muqadar dekhta
Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
Kis ko itna hosla tha , kon jee kar dekhta
Doobnay wala tha aur saahil pe chehron ka hajoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta
Tu bhi dil ko ik lahoo ki boond samjha hai faraz
Aankh agar hoti to qatray main samandar dekhta
No comments:
Post a Comment