Hijar main khoon rulaatay ho kahan hotay ho
Loat kar kiyon nahin atay ho kahan hotay ho
JAb bhi milta hai koi shakhs bahaaron jaisa
Mujh ko tum kaisay bhulaatay ho kahan hotay ho
Yaad ati hai akelay main tumhari neendain
Kis tarah khud ko sulaatay ho kahan hotay ho
Mujh se bichray ho to mehboob nazar ho kis kay
Aaj kal kis ko manatay ho , kahan hotay ho
Shab ki tanhai main aksar yeh khyal ata hai
Apnay dukh kis ko sunatay ho kahan hotay ho
Sard raaton main tumhain kaisay bhulaa sakta hoon
Aag si dil main lagatay ho kahan hotay ho
Tum to khushiyon ki rafaqat kay liye bichray thay
Ab agar ashk bahatay ho kahan hotay ho
Shaher kay log bhi "Wasiq" yahi kartay hain sawaal
Ab bhout kam nazar atay ho kahan hotay ho
Poet : Saeed Wasiq
No comments:
Post a Comment