Jul 16, 2014

Tanhai ka dukh gehra tha


Tanhai ka dukh gehra tha 
Main dariya dariya roya tha 
Ik lehar hi na sambhali warna 
Main toofan se khela tha 
Tanhai ka tanha saya 
Dair se meray saath laga tha 
Chor gaye jab saray saathi 
Tanhai ne saath diya tha 
Sookh gayi jab sukh ki daali 
Tanhai ka phool khila tha 
Tanhai main yaad-e-khuda thi 
Tanhai main khouf-e-khuda tha 
Tanhai mehraab ibadat 
Tanhai mimber ka diya tha 
Tanhai mera paya shakista 
Tanhai mera dast-e-dua tha 
Woh jannat meray dil main chuppi thi 
Main jissay baahir dhoond raha tha 
Tanhai meray dil ki jannat 
Main tanha hoon , main tanha tha 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...