Is dais main lagta hai adalat nahin hoti
Jis dais main insaan ki hifazat nahin hoti
Makhlooq-e-khuda jab kisi mushkil main phansi ho
Sajday main paray rehna ibaadat nahin hoti
Hum khaak'nasheeno se hi kiyon kartay hain nafrat
Kiya parda'nasheeno main ghalazat nahin hoti
Yeh baat naye nasal ko samjhani paray gi
Ariyaani kabhi bhi sqaafat nahin hoti
Sar aankhon par hum is ko bethaa letay hain aksar
Jis ke kisi waade main sadaaqat nahin hoti
Pooncha hai agarcha bara nuqsaan hamesha
Phir bhi kisi banday ki ata'aat nahin hoti
Her shakhs sar pe kafan baandh ke niklay
Haq kay liye karna to baghawat nahin hoti
No comments:
Post a Comment