Jab shaam ke bheegay saye hon
Koi ghar janey ki baat karay
Hum ko kiyon aisa lagta hai
Kaash apna bhi ik ghar hota
Us apne ghar ke aangan main
Kai pyaar ke deep jalatay hum
Ya phir ban kar , jaisay shabnam
Ek pyaar ka pairr lagatay hum
+Yaa us ki chat ko chand gagan
Chanda taaron se sajatay hum
Phir lait kar apne bistar main
Aur khol kar apni aankhon ko
Kitney hi khwwab dikhatay hum
Par aisa to ab kuch bhi nahin
Na tum ho na woh aangan hai
Saray mousam ab phagan hain
Hain sard hawaein zard shajar
Na chaand hai na taaray hain
Her soo chaya andhera magar
Teri yaad ka suraj nikka hai
Woh suraj, dhalti shaam aur main
Youn sar ko jhukaye baithay hain
Teri yaadain , baatain , piyaar woh sab
Seenay se lagaye baithay hain
Faisal tum hi ab batlaao
Jab tanha kaatna ho yeh safar
Koi jaye phir kiyon apne ghar
Jahan apna koi na rehta ho
No comments:
Post a Comment