Jul 7, 2014

Jo hun nahin to gham nahin


Jo hun nahin to gham nahin 
Jo tum hotee to gham nahin 
Hum tum se bichar kar zinda hain 
Kiya yeh saza abhi kam nahin 
Hum ne to dariya baha diye
Teri aankh phir bhi nam nahin 
Abhi aur kitna jeevan hai 
Keh tootay dil main dam nahin 

Hum ne to tum ko chaha tha 
Sapnon main tum ko paya tha
Jo tum ne thukraya to hai 
par piyaar hua yeh kam nahin 

Ab taskeen nahin milti 
Dil ki makeen nahin milti 
Jo mili thi woh to chor gayi 
Jo mile gi woh sanam nahin 

Imran yeh hum ne jaana hai 
Yeh qissa bhout puraana hai 
Kirdaar badaltay rehtay hain 
Aaj hum hain aur kal hum nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...