Kabhi kabhi main sochti hoon
Mujh main logon ko khush rakhnay ka malka
Itna kam kiyon hai
Kuch lafzon se , kuch meray lehjay se khafa hain
Pehlay meri maan
Meri masroofiyat se
Na;laan rehti thi
Ab yahi gila mujh se meray baitay ko hai
( Rizaq ki andhi dor main rishtay kitnay peechay reh jaatay hain )
Jab keh surat-e-haal to yeh hai
Mera ghar
Meray aurat honay ki majboori ka
Poora lutaf utha'ta hai
Her subho
Meray shaano par
Zimay daari ka bojh lakin
Pehlay se bhaari hota hai
Phir bhi meri pushat pe
Na'ehli ka koob
Roz-ba-roz nu'mayan hota jata hai
Phir mera daftar hai
Jahan taqar'rur ki pehli hi shar kay tor pe
Khud'daari ka asteefa dakhil karna tha
MAin banjar zehno main phool uganay ki koshish karti hoon
kabhi kabhi hariyaali dikh jaati hai
Warna
Pathar
Baarish se aksar naraaz hi rehtay hain
Mera qabeela
Meray harf main roshni dhoond nikalta hai
Lakin mujh ko
Achi tarah maloom hai
In main
Kis ki nazrain lafaz par hain
Aur kis ki lafaz kay khaliq par
Saray daairay meray paaon se chotay hain
Lakin waqat ka wehshi naach
Kisi maqaam nahin rukta
Raqs li lay her kamha tez hui jaati hai
Ya to main kuch aur kahoon
Ya phir
YEh mera siyara nahin hai
Parveen shakir
No comments:
Post a Comment