Jul 19, 2014

Kaha na tha keh main nazuk hoon mat taraash mujhay


Kaha na tha keh main nazuk hoon mat taraash mujhay
Junoon main kar diya tu ne to paash paash mujhay 

Woh mujh ko baant kay kuch waqat kaat letay hain 
Samjh liya hai meray doston ne taash mujhay

Woh hadsa tha keh andar se ho gaya hoon khandar
Ba'zahir ayi nahin hai koi khraash mujhay 

Meray jo kaam adhooray paray hain kar aaon 
Zameen pe bhaig diya jaye phir se kaash mujhay 

Yeh pait saath na hota to main farishta tha 
Kiya moaash kay chakar ne bad'maash  mujhay 

Meray siwa meray pasmaand'gaan main koi nahin 
MAin apni laash ko rota hoon , meri laash mujhay 

MAin aik raaz keh tha dafan teray seenay main 
Bhughat nateeja keh tu ne kiya hai faash mujhay 

Kahin main tum ko milon to mujhay bata dena 
Kai dino se hai "Shahid" meri talaash mujhay

Poet : Shahid Zkki 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...