Kisi se baat karna bolna acha nahin lagta 
Tujhay dekha hai jab se doosra acha nahin lagta 
Teri aankhon main jab se main ne apna aks dekha hai 
Meray chehray ko koi aaiyana acha nahin lagta 
Teray baaray main din bhar sochti rehti hoon main lakin 
Teray baaray main sab se poochna acha nahin lagta 
Yahan ahl-e-mohabbat umar bhar bar'baad rehtay hain 
Yeh dariya hai issat kacha gharra acha nahin lagta 
MAin ab chahat ki us manzil pe aa ponchi hoon "Rehana" 
Teri jaanib kisi ka dekhna acha nahin lagta 
Rehana Nawaab 
No comments:
Post a Comment