Jul 17, 2014

Kitnay achay din hotay thay


Kitnay achay din hotay thay 
Jab hum khushboo ke saathi thay 
Koi hamari aankhon par haath rakh kar 
poocha tha 
Main kon hon boojho ?
Aur hum jo khushboo kay saathi thay , keh detay thay
"Tum Khushboo Ho"
Khushboo yak'dam hans deti thi 
kitnay achay din hotay thay 

Kitnay achat din thay jab khushboo ko apnay saath liye 
Jugnoo ka peecha kartay thay 
Din raat mehaktay rehtay thay 
Kabhi khushboo khud chup jaati thi
Aur kabhi hum us se chupptay thay
Youn aankh macholi rehti thi 
Hum us ko dhoond kay khush hotay thay 
Woh paa kay hamain khush hoti thi 
Kitnay achay din hotay thay 

Kitnay achay din hotay thay jab khushboo hum se poochti thi 
"Hum bichar gaye to kiya ho ga "
Hum is ko bas yeh kehtay thay 
"Chup aisi baat nahin kartay"
Aur khushboo soch main kho jaati thi 
kitnay achay din hotay thay 

Aur phir ik din aisa aya 
Aankh macholi khailnay wali khushboo ko hum khud kho baithay 
(Khushboo aakhir khushboo thi na)
Hum jo khushboo kay saathi thay tanha tehray
Ab hum guzray dino ko aksar 
Tanhai main soch kay bas yeh keh detay hain 
"Kitnay achay din hotay thay 
Jab hum khushboo kay saathi thay"

Poet : Rzi-ud-din rzi   

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...