Jul 21, 2014

Kitni ulaj gayi hai judai main zindagi


Kitni ulaj gayi hai judai main zindagi 
Woh shakhs jafa kar kay ehsaan kar gaya

Main jis ko baat baat pe kehta tha jaan 
Dekho wohi shakhs mujhay be'jaan kar gaya 

Pehlay woh meri zaat ki tameer main raha 
Phir mujh ko apnay haath se masmar kar gaya 

Woh aa mila to faaslay kat'tay chalay gaye 
Bichra to raastay meray dushwaar kar gaya 

Bichra kuch is ada se keh rut hi badal gayi 
Ik  shakhs saray shaher ko veeran kar gaya
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...