Kiya bhala mujh ko parakhnay ka nateeja nikla
Zakham-e-dil aap ki nazron se bhi gehra nikla
Tashnagi jam gayi pathar ki tarah honton par
Doob kar bhi teray dariya se main piyasa nikla
JAb kabhi tujh ko pukaara meri tanhain main
Boo urri phool se , tasveer se saya nikla
Koi milta hai to ab apna pata poochta hoon
Main teri khoj main tujh se bhi paray jaa nikla
Tor kar dekh liya aaina-e-dil tu ne
Teri tasveer kay siwa aur bata kiya nikla
Poet : Muzaffar Warsi
No comments:
Post a Comment