Kiya mera kaam koi doosra kar sakta hai
Roz ik gehray samnadar main utar sakta hai
Chaand niklay to khraabay ki taraf mat jana
Aik saya tumhain aaghosh main bhar sakta hai
Meharbaan ho keh main sailaab se keh aya hoon
Tu hai be'ghar tu mere ghar main tehar sakta hai
Hansana , rona , dar-o-dewaar se baatain karna
Jis tarah raat gayi , din bhi guzar sakta hai
Mujh main jo shakhs hai , pathar bhi hai aaiyana bhi hai
MAr ke jee sakta hai , jeetay huye mar sakta hai
MAin jo aankhain teray sehra main liye phirta hoon
Un ka paani bhi sraabon main bikhar sakta hai
No comments:
Post a Comment