Jul 16, 2014

Suno tum se yeh kehna hai



Suno tum se yeh kehna hai 
Keh tum meri mohabbat se kabhi mat bad'guman hona 
Keh meri zindgani kay sabhi rastay jo sach poocho
Tumhari simt aatay hain 
Main tum se door reh paon yeh ab mumkin nahin jana 
Suno! ehad-e-mohabbat ki mujhay tajdeed karni hai
Purani baat hai lakin magar mujhay phir bhi yeh kehni hai 
Mujhay tum se mohabbat thi , mujhay tum se mohabbat hai 
Her ik mousam tumhara hai 
Tumhara saath pyara hai 
Suno ae humsafar meri !!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...