Main akela nahin
Zindagi kay andheray safar pe , teri yaad ka jugnoo
Teri khwaab alooda aankhon main , guzra hua koi lamha
Teray phool honton se phoota hua
Guftagoo ka koi tim'tamaata sitara
Meri sard saanson main utri
Teray jisam ki garm khushboo
Meray walut main koi gungunaati hui teri tasveer
Dewaar-o-dar main khilay qeh'qahay
Aur honton pe tehri duaaon ki be'khaan'maa titliyaan
Kuch adhoori mohabbat ki tooti hui seepian
Teray aanay ki umeed main jaagtay rastay
Aur aankhon main phaili hui khwaab ki kirchiyaan
Aik nuqtay pe tehray huye chaaron mousam
Siskatay huye din
Judai kay kohray main that'thari hui sard shaamain
Meray saath hain
Main akela nahin
Tum se kis ne kaha meray chaaron taraf koi mela nahin
Poet : Farhaad Shah
No comments:
Post a Comment