Main faqat chalti rahi , manzil ko sar us ne kiya
Saath mere roshni ban kar safar us ne kiya
Is tarah kheenchi hai , meray gird dewaar-e-khair
saray dushman roznon ko be'nazar us ne kiya
Mujh main bastay saray snaaton ki lay us se bani
Pathron kay darmiyaan thi , naghma gar us ne kiya
Be'sar-o-samaan pe dil'daari ki chadar daal di
Be'dar-o-dewaar thi main , mujh ko ghar us ne kiya
Paaniyon main yeh bhi paani aik din tehleel tha
Qatraa-e-be'sarfa ko lakin gehar us ne kiya
Aik mamooli si achai traashi hai bhout
Aur fikr-e-khaam se sarf-e-nazar us ne kiya
Phir to imkaanat phoolon ki tarah khiltay gaye
Aik nanhay say shagoofay ko shajar us ne kiya
Taaq main rakhaye diye ko pyaar se roshan kiya
Is diye ko phir chragh-e-raah guzar us ne kiya
No comments:
Post a Comment