Jul 21, 2014

Main yeh soch ke us kay dar se utha tha


Main yeh soch ke us kay dar se utha tha 
Keh woh rok le gi , mana le gi mujh ko 

Hawaon main lehraata ata tha daaman 
Keh daaman pakar kay bitha le gi mujh ko 

Qadam aisay andaaz se uth rahay thay 
Keh awaz de kay bulaa lay gi mujh ko 

Magar us ne roka , na mujh ko manaya
Na daman hi pakra , na mujh ko bulaya 

Main ahista ahista barhta hi aya 
Yahan tak keh us se juda ho gaya main 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...