Jul 25, 2014

Chalo baatein karain itni


Chalo baatein karain itni 

Falak ki goad main simtay sitaray thak kar so jayein 

Zameen pe bikhray manzar sab kay sab hairaan ho jayein 

Utarti abshaarain shor karna hi bhool baithain 

Thithak jaye samandar ki tlaatum khaiz mojain 

Hawa hairat se tham jaye 

Chalo baatein karain itni 

Bina matlab , bina maqsad 

Chalo baatein karain itni 

Keh ik lamha ruk kar tumhain sochna dushwaar ho jaye 

Aur aisay main achanak 

Tumharau lab se mohabbat ka iqraar ho jaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...