Mera naseeb huwein talkhiyaan zamane ki
Kisi ne khoob saza di hai muskurane ki
Meray khuda mujhe taariq ka hosla ho ata
Zaroorat aan pari kashtiyaan jalane ki
MAin dekhta hoon her ik simat panchiyon ky hajoom
Elaahi khair ho siyaad ke ghraney ki
Qadam qadam pe saleebon ke jaal bicha do
Keh sar'kashon ko to aadat hai sar uthane ki
Shareek-e-juram na hote to mukh'bari karte
Hamain khabar hai lutairon ke her thikaane ki
Hazaar hath giribaan tak aa gye "azhar"
Abhi to baat chali bhi na thi zamaney ki
Poet : Azhar duraani
No comments:
Post a Comment