Mere bachay ne jab mujh se kaha mama
Zara jugnoo mujhe laa do
Mujhe titli ke rangon ko bhi choona hai
Sitaray asmaan par hi uggay hain kiyon
Zameen par kiyon nahin atay
Mujhay bas chaand laa do , us se khailon ga
Main chonk uthi
Yahi kuch main ne apni maa se poocha tha
Mera masoom sa bachpan
Jo mutthi se phisal kar kho gaya shayed
Mera bacha jo mera aaj hai
Aur aney wala ik haseen kal hai
Lahoo main is ki baaton se hi halchal hai
Yeh mera qeemti pal hai
Mera bacha haseen tabeer ban kar samney hai aur
Maazi khwaab lagta hai
To kiya main khwaab se aagay nikal ayi
No comments:
Post a Comment