Jul 1, 2014

Mere hamsafar mere ham'nasheen


Mere hamsafar mere ham'nasheen 
MAin ne rab se manga to kuch nahin 
Main ne jab bhi maangi koi dua 
Nahin maanga kuch bhi tere siwa
Yeh talab kiya keh mere khuda 
Sabhi rahatein 
Sabhi chahatein
Woh ata kare tujhe manzilein 
Yeh talab kiya keh mere khuda 
Tujhe bakhat de
tujhe taaj de
Tujhe takht de 
Mere ham safar 
Mere chara'gar 
Yeh hai dosti ka kahin safar 
Mere sath chalna zara soch kar 
Zara dekh to mera hosla 
Mere paas jo bhi woh hai tera
Nahin aur kuch bhi tere siwa
Mero dosti 
Meri zindagi 
Mer khamoshi 
Meri be'basi
Mera ilm bhi 
Mera naam bhi
Keh meri subha 
Meri shaam bhi 
Keh jo mil sakein mere daam bhi 
Woh sabhi kuch tujhe ata kare 
Mere chara gar tu yaqeen to kar 
Mujhe mangana to na aa saka 
Main ne phir bhi maangi yahi dua
Keh gawahi de ga mera khuda
Main ne jab bhi us se talab kiya 
Nahin mangana kuch bhi tere siwa
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...