Meri mutthi main band ik jugnoo
Bahar nikalna chahta hai
Par nikal paata nahin
Raasta dhoondta hai
Par dhoond paata nahin
Main mutthi kaisay khol doon
Wohi to mera apna hai
Agar mutthi khul gayi to
Woh urr jaye ga
Mere liye murr kar
Kabhi nahin aye ga
Woh jaanta hi nahin
Mujhe woh kitn apyaara hai
Wohi to bas ik sahara hai
Woh jaanta hi nahin
Jaane bhi to kaisay
Woh to apni duniya ka baasi hai
Meri duniya
Jo sirf meri duniya hai
Woh us kay liye anjaani hai
Woh jaana chahata hai
Ussay jana hi ho ga
Kiyon keh
Kai sitaray
Us ke muntazir hain
Ussay unhain raasta dikhana hai
Us safar pe un ko jana hai
MAin itni zaalim to nahin
Main itni sang'dil to nahin
NAhin
Main khud gharz to nahin
Meri mutthi ko khulna hi ho ga
Us jugnoo ko urrna hi ho ga
Batool bhi kitni pagal hai
Dost banaya bhi to ussay
Jo chraagh hai kai manzalon ka
Jo raahi hai kai raaston ka
Ussay aagay jaana hi ho ga
Apni manzil ko paana ho ga
Jaa mere jugnoo
Aaj main mutthi apni khol di
YEh haath phir se khaali hain
Na'jane ksisay sawali hain
Khairaat koi de jata hai
Do pal ki khushi de jata hai
Yeh phir bhi kiyon matwaali hain
Yeh haath phir se khaali hain
No comments:
Post a Comment