Jul 15, 2014

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon


Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon 
Meray sada dil tujh ko maghroor kar doon 

Teray dil ko milnay ki khud arzoo ho 
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon 

Mujhe zindagi door rakhti hai  tujh se
Jo tu paas ho to issay door kar doon 

Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak 
Kabhi samna ho to majboor kar doon 

Yeh be'rangiyaan kab tak ae husan-e-rangeen 
Idhar aa tujhay ishq main choor kar doon

Yu agar samnay ho to main be'khudi main 
Sitaron ko sajday pe majboor kar doon 

Nahin zindagi ko wafa warna "Akhtar"
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...